Tum Mere Na Huye lyrics - Thamma

Thamma (2025)

SongTum Mere Na Huye
Singer(s)Madhubanti Bagchi
MusicSachin–Jigar
LyricsAmitabh Bhattacharya
MovieThamma (2025)

Tum Yaad Aao Toh Parwaah Nahi
Hamko Bhula Do Toh Shikwa Nahi

Duniya Zamaane Me
Behlaana Ho Dil Toh
Milta Yahan Kya Nahi

Tum Mere Na Hue Na Sahi –(4)

Khudaaya Ve, Khudaaya Ve
Kyun Maine Dil Lagaaya Ve
Lahu Aankhon Se Aaya Ve
Khudaaya Ve, Khudaaya Ve

[Itne Gaye Guzre Bhi Ham Nahi
Ke Gir Ke Sambhal Na Sakein
Aadat The Tum Meri Kismat Nahi
Ke Jisko Badal Na Sakein] –(2)

Bhar Na Sake Waqt Ke Saath Jo
Yeh Zakhm Utna Bhi Gehra Nahi

Toota Hai Dil Phir Bhi Itna Nahi
Ke Judega Dobaara Nahi

Tum Mere Na Hue Na Sahi –(3)

[Khudaaya Ve, Khudaaya Ve
Kyun Maine Dil Lagaaya Ve
Lahu Aankhon Se Aaya Ve
Khudaaya Ve, Khudaaya Ve] –(2)

Tum Mere Na Hue Na Sahi

Madhubanti Bagchi
Previous Song Next Song