Tum Toh Thehre Pardesi lyrics – Altaf Raja
Song | Tum To Thehre Pardesi |
Singer(s) | Altaf Raja |
Music | Mohd Shafi Niyazi |
Lyrics | Zaheer Alam |
Album | Tum To Thehre Pardesi (1994) |
Tum Toh Thehre Pardesi –(2)
Saath Kya Nibhaaoge
[Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge] –(5)
Subah Pehli, Subah Pehli
[Subah Pehli Gaadi Se
Ghar Ko Laut Jaaoge] –(2)
Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge
[Jab Tumhe Akele Me
Meri Yaad Aayegi] –(2)
Khinche Khinche Hue Rehte Ho
Kyun?
Khinche Khinche Hue Rehte Ho
Dhyaan Kiska Hai
Zara Bataao Toh
Yeh Imtehaan Kiska Hai
[Hamein Bhula Do
Magar Yeh Toh Yaad Hi Hoga] –(2)
Nayi Sadak Pe
Puraana Makaan Kiska Hai
[Jab Tumhe Akele Me
Meri Yaad Aayegi] –(2)
Aansuon Ki, Aansuon Ki
Aansuon Ki Baarish Me
Aye! Tum Bhi Bheeg Jaaoge
Aansuon Ki Baarish Me
Tum Bhi Bheeg Jaaoge
Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge
[Gham Ki Dhoop Me Dil Ki
Hasratein Na Jal Jaayein] –(2)
Tujhko, Aye!
[Tujhko Dekhenge Sitaare
Toh Ziya Maangenge] –(2)
Aur Pyaase Teri Zulfon Se
Ghata Maangenge
Apne Kaandhe Se
Dupatta Na Sarakne Dena
Warna Boodhe Bhi Jawaani Ki
Duaa Maangenge, Imaan Se
[Gham Ki Dhoop Me Dil Ki
Hasratein Na Jal Jaayein] –(2)
Gesuon Ke, Gesuon Ke
[Gesuon Ke Saaye Me
Kab Hamein Sulaaoge] –(2)
Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge
[Mujhko Qatl Kar Daalo
Shauk Se, Magar Socho] –(2)
Is Sheher-e-Naamuraad Ki
Izzat Karega Kaun
Arey Hum Bhi Chale Gaye
Toh Mohabbat Karega Kaun
[Is Ghar Ki Dekh-Bhaal Ko
Viraaniyan Toh Ho] –(2)
Jaale Hata Diye Toh
Hifaazat Karega Kaun
[Mujhko Qatl Kar Daalo
Shauk Se, Magar Socho] –(2)
Mere Baad, Mere Baad
Mere Baad Tum Kispar
Yeh Bijliyan Giraaoge
Mere Baad Tum Kispar
Bijliyan Giraaoge
Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge
[Yun Toh Zindagi Apni
Maikade Me Guzri Hai] –(2)
[Ashkon Me Husn-o-Rang
Samota Raha Hoon Main] –(2)
Aanchal Kisi Ka Thaam Ke
Rota Raha Hoon Main
[Nikhra Hai Ja Ke
Ab Kahin Chehra Shaoor Ka] –(2)
Barson Isey Sharaab Se
Dhota Raha Hoon Main
Yun Toh Zindagi Apni
Maikade Me Guzri Hai
Behki Hui Bahaar Ne
Peena Sikha Diya
Badmast Barg-o-Baar Ne
Peena Sikha Diya
[Peeta Hoon Is Garaj Se
Ke Jeena Hai Chaar Din] –(2)
Marne Ke Intezaar Ne
Peena Sikha Diya
[Yun Toh Zindagi Apni
Maikade Me Guzri Hai] –(2)
In Nasheeli, In Nasheeli
In Nasheeli Aankhon Se
Arey Kab Hamein Pilaaoge
In Nasheeli Aankhon Se
Kab Hamein Pilaaoge
Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge
[Kya Karoge Tum Aakhir
Qabr Par Meri Aa Kar] –(2)
Kya Karoge Tum Aakhir
Qabr Par Meri Aa Kar
Kyunki Jab Tumse Ittefaaqan
Jab Tumse Ittefaaqan
Meri Nazar Mili Thi
Ab Yaad Aa Raha Hai
Shaayad Woh January Thi
Tum Yun Mili Dobaara
Phir Maah-e-Farvary Me
Jaise Ke Humsafar Ho
Tum Raah-e-zindagi Me
Kitna Haseen Zamaana
Aaya Tha March Le Kar
Raah-e-Wafa Pe Thi Tum
Vaadon Ki Torch Le Kar
Baandha Jo Ehd-e-Ulfat
April Chal Raha Tha
Duniya Badal Rahi Thi
Mausam Badal Raha Tha
Lekin May Jab Aayi
Jalne Laga Zamaana
Har Shaks Ki Zabaan Par
Tha Bas Yahi Fasaana
Duniya Ke Darr Se Tumne
Badli Thi Jab Nigaahein
Tha June Ka Maheena
Lab Pe Thi Garm Aahein
July Me Jo Tumne
Ki Baatcheet Kuchh Kam
The Aasmaan Pe Baadal
Aur Meri Aankhein Pur-Namm
Maah-e-August Me Jab
Barsaat Ho Rahi Thi
Bas Aansuon Ki Baarish
Din Raat Ho Rahi Thi
Kuchh Yaad Aa Raha Hai
Woh Maah Tha September
Bheja Tha Tumne Mujhko
Tarq-e-Wafa Ka Letter
Tum Gair Ho Rahi Thi
October Aa Gaya Tha
Duniya Badal Chuki Thi
Mausam Badal Chuka Tha
Jab Aa Gaya November
Aisi Bhi Raat Aayi
Mujhse Tumhe Chhudaane
Saj Kar Baraat Aayi
Be-Kaif Tha December
Jazbaat Mar Chuke The
Mausam Tha Sard, Usme
Armaan Bikhar Chuke The
[Lekin Yeh Kya Bataaun
Ab Haal Doosra Hai] –(4)
Arey Woh Saal Doosra Tha
Yeh Saal Doosra Hai
[Woh Saal Doosra Tha
Yeh Saal Doosra Hai] –(2)
Kya Karoge Tum Aakhir –(2)
Qabr Par Meri Aa Kar
Thodi Der, Thodi Der
[Thodi Der Ro Loge
Aur Bhool Jaaoge] –(3)
[Tum Toh Thehre Pardesi
Saath Kya Nibhaaoge] –(2)
[Subah Pehli Gaadi Se
Ghar Ko Laut Jaaoge] –(3)