Tumse O Haseena lyrics – Farz
Song | Tumse O Haseena |
Singer(s) | Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur |
Music | Laxmikant-Pyarelal |
Lyrics | Anand Bakshi |
Movie | Farz (1967) |
[Tumse O Haseena Kabhi Mohabbat
Na Maine Karni Thi] –(2)
Magar Mere Dil Ne Mujhe Dhokha De Diya –(2)
[Tumse O Deewane Kabhi Mohabbat
Na Maine Karni Thi] –(2)
Magar Mere Dil Ne Mujhe Dhokha De Diya –(2)
Aag Sulag Gayi Nas Nas Me
Neend Rahi Na Raha Chain Bas Me
Todi Jaaye Na Ab Mujhse
Pyar Ki Yeh Rasmein Kasmein
Aa Gayi Bulbul Kafas Me
[Tauba Meri Tauba Yeh Apni Haalat
Na Maine Karni Thi] –(2)
Magar Mere Dil Ne Mujhe Dhokha De Diya –(2)
Log Yeh Mujhko Hain Samjhaate
Beet Rahi Thi Hanste Gaate
Maine Tumhe Kis Liye Chheda
Raahon Me Aate Jaate
Mujhe Sab Hain Sataate
[Tauba Meri Tauba Ke Yeh Sharaarat
Na Maine Karni Thi] –(2)
Magar Mere Dil Ne Mujhe Dhokha De Diya –(2)
Shaam Savere Dil Ghabraaye
Raaz-e-dil Na Khul Jaaye
Raat Hamaare Sapno Me Chhup Ke
Roz Koi Aaye Jaaye
Kaahe Neha Lagaaye
[Tauba Meri Tauba Ke Yeh Qayaamat
Na Maine Karni Thi] –(2)
Magar Mere Dil Ne Mujhe Dhokha De Diya –(2)