Nagina (1986)

Tune Bechain Itna Zyada Kiya lyrics – Nagina

SongTune Bechain Itna Ziada Kiya
Singer(s)Mohammed Aziz, Anuradha Paudwal
MusicLaxmikant-Pyarelal
LyricsAnand Bakshi
MovieNagina (1986)

Tune Bechain Itna Zyada Kiya –(2)

Main Tera Ho Gaya, Maine Vaada Kiya

Dil Ne Majboor Itna Zyada Kiya –(2)

Main Teri Ho Gayi, Maine Vaada Kiya

Tune Bechain Itna Zyada Kiya
Dil Ne Majboor Itna Zyada Kiya

[Laga Raha Hai Mujhe
Tere Sar Ki Kasam] –(2)

Apni Pehli Mohabbat Nahi Yeh, Sanam
Aa Mile Aur Bichhde Kayi Baar Hum

Phir Se Milne Ka Humne Iraada Kiya
Main Teri Ho Gayi, Maine Vaada Kiya
Tune Bechain Itna Zyada Kiya
Main Tera Ho Gaya, Maine Vaada Kiya

Raat Dhalti Nahi –(2)
Din Guzarta Nahi
Mera Dil Kab Tujhe Yaad Karta Nahi
Aahein Bharne Se Jee Mera Bharta Nahi

Faisla Maine Yeh Seedha-Saadha Kiya
Main Tera Ho Gaya, Maine Vaada Kiya
Dil Ne Majboor Itna Zyada Kiya
Main Teri Ho Gayi, Maine Vaada Kiya

[Kaanch Ki Tune Choodi
Balam, Tod Di] –(2)

[Laaj Ki, Sharm Ki
Har Kasam Tod Di] –(2)

Neend Toh Loot Li, Jaan Kyun Chhod Di

Kaam Teri Nigaahon Ne Aadha Kiya
Main Tera Ho Gaya, Maine Vaada Kiya
Tune Bechain Itna Zyada Kiya
Main Tera Ho Gaya, Maine Vaada Kiya

Dil Ne Majboor Itna Zyada Kiya
Main Teri Ho Gayi, Maine Vaada Kiya
Main Tera Ho Gaya, Maine Vaada Kiya
Main Teri Ho Gayi, Maine Vaada Kiya

Similar Song Lyrics