Zamaan lyrics - Anoushka Maskey
Mismatched (Series)
| Song | Zamaan |
| Vocals | Anoushka Maskey |
| Composition | Anoushka Maskey |
| Lyrics | Anoushka Maskey |
| Series | Mismatched: Season 3 (2024) |
Hazaaron Nazaare Zindagi Ne Hain Dikhaaye
Yeh Ek Nazaara Kaise Andekha Reh Gaya
Chaahe Na Chaahe Badalte Hain Zamaane
Ab Mera Hai Zamaana Aa Gaya
Likhni Hai Khud Meri Kahaaniyan
Ab Sab Ummeedein Bhi Khud Hi Se Judi Hai
Koi Doosra Sambhaale Kyun Unhe
Raahein Saari Khwaabon Se Jagmagaati
Khwaabon Ko Paas Rakhna Hai Abhi
In Khwaabon Ke Bina Kya Zindagi
Badalna Chaaho Aasmaan
Badal Bhi Lo, Kya Hai Gunaah
Tera Hi Hai Saara Jahaan
Tera Anokha Raasta
Tera Hi Hai Zamaana, Maanja
Likhle Tu Bhi Teri Kahaaniyan