Zaroorat Hai Zaroorat Hai lyrics – ManMauji
Song | Zaroorat Hai Zaroorat Hai |
Singer(s) | Kishore Kumar |
Music | Madan Mohan |
Lyrics | Rajendra Krishan |
Movie | Man-Mauji (1962) |
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Sakht Zaroorat Hai
[Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Ek Shrimati Ki, Kalaavati Ki
Seva Kare Jo Pati Ki] –(2)
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
[Haseen Hazaaron Bhi Ho Khade
Magar Usi Par Nazar Pade] –(2)
Ho Zulf Gaalon Se Khelti
Ke Jaise Din Raat Se Lade
Ho Ho Ho Ho..
Adaaon Me Bahaar Ho
Nigaahon Me Khumaar Ho
Qubool Mera Pyar Ho
Toh Kya Baat Hai!
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Ek Shrimati Ki, Kalaavati Ki
Seva Kare Jo Pati Ki
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
[Jhatak Ke Gesu Jahan Chale
Toh Saath Me Aasmaan Chale] –(2)
Lipat Ke Fitne Bhi Paaon Se
Ke Poochhte Ho, Kahan Chale?
Ho Ho Ho Ho..
Pyar Se Jo Kaam Le
Hans Ke Salaam Le
Woh Haath Mera Thaam Le
Toh Kya Baat Hai!
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Ek Shrimati Ki, Kalaavati Ki
Seva Kare Jo Pati Ki
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
[Itar Me Saansein Basi Basi
Ho Mastiyon Me Rasi Rasi] –(2)
Daraaz Palkein Jhuki Jhuki
Bhaoney Ghaneri Kasi Kasi
Ho Ho Ho Ho..
Phoolon Me Gulaab Ho
Khud Apna Jawaab Ho
Woh Pyar Ki Kitaab Ho
Toh Kya Baat Hai!
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Ek Shrimati Ki, Kalaavati Ki
Seva Kare Jo Pati Ki
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Haan Haan, Shrimati Ki
Ho Ho, Kalaavati Ki
Seva Kare Jo Pati Ki
Zaroorat Hai, Zaroorat Hai, Zaroorat Hai
Sakht Zaroorat Hai