Behtar lyrics - Hansika Pareek

Singles

SongBehtar
SingerHansika Pareek
ComposerHansika Pareek
WriterAnurag Mishra
Year2026

Haathon Me Meri Thi Yeh Lakeerein
Mujhko Pata Hi Na Tha
Jab Se Mila Tu, Is Zindagi Pe
Mujhko Yakeen Ho Gaya

Dhoondhu Main Jahaano Me Haara
Jo Ghar Woh Asal Me Tu Hi Toh Tha

Ehsaan Tera Mujh Par Hua
Milke Tujhe Dil Behtar Hua
Ehsaan Tera Mujh Par Hua
Tune Chhua, Dil Behtar Hua

Mehsoos Hota Saath Tere
Pehle Hua Na Jo Mujhe Kabhi
Shaayad Isi Ko Kehte Naseeb
Jaisa Hai Yeh, Na Badle Phir Kabhi

Dhoondhu Main Jahaano Me Haara
Baaki Jo Kasar Woh Tu Hi Toh Tha

Ehsaan Tera Mujh Par Hua
Milke Tujhe Dil Behtar Hua
Ehsaan Tera Mujh Par Hua
Tune Chhua, Dil Behtar Hua

Behtar Hua.. Dil Behtar Hua

Hansika Pareek
← Previous Song Next Song →