Na Lage Nazar lyrics - Hansika Pareek
Singles
| Song | Na Lage Nazar |
| Singer | Hansika Pareek |
| Composer | Hansika Pareek |
| Writer | Anurag Mishra |
| Year | 2026 |
Hai Aasaan Nahi Pyaar Magar
Tere Saath Aasaan Kyun Lage
Khoobi Hai Teri, Saath Tere
Mujhko Meri Khoobi Dikhe
Kehde Tu, Tere Liye
Kaabil Hoon Main Ya Nahi
Tu Hi Kahe Toh Mujhe Ho Yakeen
Pyaar Paa Ke Bhi Kyun
Dil Ko Rehta Hai Darr
Na Lage, Na Lage Isko Nazar
Sabr Se Shukr Ka
Tay Kiya Dil Ne Safar
Na Lage, Na Lage Isko Nazar
Khaamoshiyon Me Hi
Saari Baat Ho Gayi
Bin Sune Aur Bina Kahe
Alfaaz Na Koi, Na Sawaal The Kahin
Aankhon Me Hi Sab The Keh Gaye
Tera Haath Jo Thaam Loon
Toh Rab Dikhe Roobaroo
Is Pal Ko Main Ab Yahin Rok Doon
Is Tarah Pyaar Ki
Raatein Ho Aur Ho Sehar
Na Lage, Na Lage Isko Nazar
Sabr Se Shukr Ka
Tay Kiya Dil Ne Safar
Na Lage, Na Lage Isko Nazar
Doobi Jo Tujhme, Yaara
Saansein Aaye Dobaara
Tera Hi Asar Hai Yeh, Piya
Har Pal Hai Tu Bas Mera
Tu Raatein, Tu Hi Savera
Tu Hi Toh Nazar Me Hai, Piya