Dard lyrics - Haunted 3D: Echoes of the Past
Haunted 3D: Echoes of the Past (2026)
| Song | Dard |
| Vocals | Jubin Nautiyal |
| Composition | Nayeem–Shabir |
| Lyrics | Shakeel Ahmed |
| Movie | Haunted 3D: Echoes of the Past (2026) |
Mere Dard Ne Tere Dard Ka
Jo Safar Kiya, Woh Adhoora Hai
Tere Bin Mera, Mere Bin Tera
Koi Aayina Kahan Poora Hai
Teri Subah Me Mujhe Jalna Hai
Teri Shaam Me Mujhe Dhalna Hai
Rasta Hai Tay, Manzil Hai Tay
Ab Saath Hi Hamein Chalna Hai
Mere Dard Ne Tere Dard Ka
Jo Safar Kiya, Woh Adhoora Hai
Seene Me The Mere Bharam
Tune Kiye Phir Bhi Karam
Yeh Dil Teri Chaahat Pe
Ab Maghroor Hai
Tu Mujhpe Aise Khul Gaya
Baarish Me Jaise Dhul Gaya
Dekha Hai Maine Tujhme
Koi Noor Hai
Yeh Bharosa Hai Tere Pyaar Ka
Nahi Tootna, Nahi Tootna
Teri Subah Me Mujhe Jalna Hai
Teri Shaam Me Mujhe Dhalna Hai
Rasta Hai Tay, Manzil Hai Tay
Ab Saath Hi Hamein Chalna Hai
Yeh Dil Tera Hamdard Hai
Ab Dono Ka Ek Dard Hai
Gham Ban Ke Meri Rooh Me
Rehta Hai Tu
Khaamoshiyon Me Shor Hai
Yeh Pyaar Ya Kuchh Aur Hai
Rouun Toh Meri Aankh Se
Behta Hai Tu
Kaise Juda Ho Jaayein Ham
Dariya Hoon Main, Saahil Hai Tu
Teri Subah Me Mujhe Jalna Hai
Teri Shaam Me Mujhe Dhalna Hai
Rasta Hai Tay, Manzil Hai Tay
Ab Saath Hi Hamein Chalna Hai
Jo Safar Kiya, Woh Adhoora Hai