Ishq Bukhaar lyrics - Shreya Ghoshal, B Praak

Tehran (2025)

SongIshq Bukhaar
Singer(s)Shreya Ghoshal, B Praak
MusicTanishk Bagchi
LyricsIrshad Kamil
MovieTehran (2025)

[Aaye Ho Toh Jaao Na Dil Jala Ke
Paani Paani Kardi Nazar Mila Ke] –(2)

Dheere Dheere Se Utrega, Mere Yaar
Yeh Ishq Ka Bukhaar

Aaya Hoon Main Aag Yahan Jalaane
Paani Paani Karke Tujhe Bhigaane
Dheere Dheere Se Sab Dunga Main Utaar
Yeh Ishq Ka Bukhaar

Meethi Meethi Baatein Karna
Baaton Me Hi Raatein Karna
Raaton Me Mulaqaatein Karna
Karte Rehna Aana Jaana, Aana Jaana

Jee-jaan Luta Dungi
Aaj Tujhpe, Kasam Se
Kyun Laal Ho Raha Hai
Mohabbat Me Sharam Se

Main Kaam Tere Aaun
Hai Yeh Dil Me Chaahatein
Khil Jaayega Yeh Husn Mera
Tere Karam Se

Aaye Ho Toh Jaao Na Dil Jala Ke
Paani Paani Kardi Nazar Mila Ke
Dheere Dheere Se Utrega, Mere Yaar
Yeh Ishq Ka Bukhaar

Hamein Mehngi Padegi Tu
Badi Laagat Se Bani Hai
Teri Kya Baat, Haseena
Badi Fursat Se Bani Hai

Baghaawat Kyun Na Karega
Bataao, Ishq Hamaara
Chadha Hai Aasmaan Pe
Aasmaan Pe Ishq Ka Paara

Aaya Hoon Main Aag Yahan Jalaane
Paani Paani Karke Tujhe Bhigaane
Dheere Dheere Se Sab Dunga Main Utaar
Yeh Ishq Ka Bukhaar

Aaye Ho Toh Jaao Na Dil Jala Ke
Paani Paani Kardi Nazar Mila Ke
Dheere Dheere Se Utrega, Mere Yaar
Yeh Ishq Ka Bukhaar

Shreya Ghoshal B Praak
Previous Song Next Song