Mera Hua lyrics - Annkur R Pathakk

Ek Deewane Ki Deewaniyat (2025)

SongMera Hua
VocalsAnnkur R Pathakk
CompositionAnnkur R Pathakk
LyricsSachin Urmtosh
MovieEk Deewane Ki Deewaniyat (2025)

Mil Ke Tujhse Behtar Khud Se
Ho Gaye Hain Hum, Teri Kasam
Chhoo Ke Jabse Mehke Tujhse
Kho Gaye Hain Hum, Teri Kasam

Tu Jo Mera Toh Main Chaahu
Is Duniya Se Bhi Kya

Dono Jahaano Se Badh Ke Tu Mera Hua
Ishq Muhaano Pe Dhadke, Tu Mera Hua
Laakh Bahaano Se Lad Ke Tu Mera Hua
Kitni Zubaano Pe Chadh Ke Tu Mera Hua

Yun Kabhi Pehle Yeh Dhadka Hi Nahi
Seene Me Jaise Dil Mere Tha Hi Nahi

Shaamein Bhi Thi Kahin
Din Mere The Kahin
Tu Mila Jis Jagah
Reh Gaya Main Wahin

Sau Wajah Thi Mili
Kuchh Toh Thi Par Kami
Kyun Lage Pehle Main
Jaise Jiya Hi Nahi

Tu Jo Mera Toh Main Chaahu
Is Duniya Se Bhi Kya

Dono Jahaano Se Badh Ke Tu Mera Hua
Ishq Muhaano Pe Dhadke, Tu Mera Hua
Laakh Bahaano Se Lad Ke Tu Mera Hua
Kitni Zubaano Pe Chadh Ke Tu Mera Hua

Annkur R Pathakk
Previous Song Next Song