Jo Koi Pooche lyrics - Abhijeet Srivastava
Singles
| Song | Jo Koi Pooche |
| Vocals | Abhijeet Srivastava |
| Composition | Abhijeet Srivastava |
| Lyrics | Shayra Apoorva |
| Year | 2026 |
Jo Koi Poochhe Yeh Jahaan Ya Tum
Tumhe Hi Maangte Hain Ham
Chale Jab Tak Bhi Yeh Dhadkan
Tumhe Hi Maangte Hain Ham –(2)
Teri Hi Aahatein Mujhe Toh Chaahiye
Saansein Chalaane Ke Liye, O Maahiye
Maine Toh Raahatein Tabhi Se Paayi Hai
Mujhko Mila Tu Jab Se, O Maahiye
Khone Ka Tujhko Darr Na Raha
Mere Seene Me Hai Tu Kuchh Yun Basa
Door Kar Paayega Na Yeh Jahaan
Jo Koi Poochhe Yeh Jahaan Ya Tum
Tumhe Hi Maangte Hain Ham
Chale Jab Tak Bhi Yeh Dhadkan
Tumhe Hi Maangte Hain Ham –(2)
Hone Fanaa Dijye
Kijye Ab Kya Kijye
Yeh Dil Lagaane Ka Sila
Hone Tabaah Dijye
Kijye Ab Kya Kijye
Hoti Mohabbat Aur Kya
Ishq Ki Tere Hamko Aadatein Lagi Aisi
Saath Mere Jaayengi Ab Yeh Us Jahaan
Is Qadar Mili Hamko Chaahatein Teri Aisi
Maangne Ko Ab Kuchh Bhi Baaki Na Raha
Kehne Ko Tujhko Keh Doon Main Jaan
Par Jaan Ka Toh Hota Jaana Likha
Maahi, Jaan Se Bhi Zyada Tu Mera
Jo Koi Poochhe Yeh Jahaan Ya Tum
Tumhe Hi Maangte Hain Ham
Chale Jab Tak Bhi Yeh Dhadkan
Tumhe Hi Maangte Hain Ham –(2)