Sun Sajna lyrics - Tanishk Bagchi

Singles

SongSun Sajna
VocalsTanishk Bagchi
CompositionTanishk Bagchi
LyricsTanishk Bagchi
Year2026

Tujhe Dekha Nahi Maine Kal Se
Kya Hua Hai, Bata Toh Sahi
Ya Khafa Hai Ya Kisi Wajah Se
Tera Dil Na Dukha Ho Kahin

Tere Bina Kya Hai Mera
Saara Ka Saara Main Tera
Mushkil Me Yeh Dil Hai

[
O Sun Sajna, Kya Chaahu Main
Jo Paas Hai Tu, Kyun Aahein Bharu
Teri Aankhon Me Nami Hai Kyun Lekin
Tujhe Khush Main Bata Haan Kaise Karu
] –(2)

Mujhko Toh Itna Pata Hi Na Tha
Is Duniya Me Koi Mera Hai
Jisko Main Sochu, Jisey Chaahu Main
Jisey Dekhu Har Ek Jagah Main

Tujhe Lagta Hoga Mujhse Darr
Ke Auron Jaisa Toh Nahi Main
Yakeen Dilaaun Tujhe Kis Tarah
Har Koi Ek Jaisa Nahi Hai

Tere Bina Kya Hai Mera
Saara Ka Saara Main Tera
Mushkil Me Yeh Dil Hai

O Sun Sajna, Kya Chaahu Main
Jo Paas Hai Tu, Kyun Aahein Bharu
Teri Aankhon Me Nami Hai Kyun Lekin
Tujhe Khush Main Bata Haan Kaise Karu

Tanishk Bagchi
← Previous Song Next Song →