Kaisi Hai Ye Rut lyrics - Srinivas
Dil Chahta Hai (2001)
| Song | Kaisi Hai Ye Rut |
| Singer | Srinivas |
| Music | Shankar–Ehsaan–Loy |
| Lyrics | Javed Akhtar |
| Movie | Dil Chahta Hai (2001) |
[Kaisi Hai Yeh Rut Ke Jisme
Phool Ban Ke Dil Khile
Ghul Rahe Hain Rang Saare
Ghul Rahi Hain Khushbooyein] –(2)
Chaandni Jharne Ghataayein
Geet Baarish Titliyaan
Hampe Ho Gaye Hain Sab Meharbaan
Kaisi Hai Yeh Rut Ke Jisme
Phool Ban Ke Dil Khile
Dekho, Nadi Ke Kinaare
Panchhi Pukaare Kisi Panchhi Ko
Dekho, Yeh Jo Nadi Hai
Milne Chali Hai Saagar Hi Ko
Yeh Pyaar Ka Hi Saara Hai Kaarvaan
Kaisi Hai Yeh Rut Ke Jisme
Phool Ban Ke Dil Khile
Kaise Kisi Ko Bataayein
Kaise Yeh Samjhaayein, Kya Pyaar Hai
Isme Bandhan Nahi Hai
Aur Na Koi Bhi Deewaar Hai
Suno, Pyaar Ki Niraali Hai Daastaan
Kaisi Hai Yeh Rut Ke Jisme
Phool Ban Ke Dil Khile
Ghul Rahe Hain Rang Saare
Ghul Rahi Hain Khushbooyein
Chaandni Jharne Ghataayein
Geet Baarish Titliyaan
Hampe Ho Gaye Hain Sab Meharbaan
Kaisi Hai Yeh Rut Ke Jisme
Phool Ban Ke Dil Khile