Le Jaa Tu Kahin lyrics - Arijit Singh

Singles

SongLe Jaa Tu Kahin
VocalsArijit Singh
CompositionSufiyan Bhatt
LyricsSahil Fatehpuri
Year2018

Leja Tu Kahin, Mere Saathiya
Koi Khwaahish Nahi, Tujhko Jo Paa Liya

Chal Chale Ab Yeh Kadam
Lage Na Darr, Sanam
Jannat Ke Kaafile Sang Tere Le Chalu

Aa Leja Kahin, Mere Saathiya

Yeh Kya Ho Raha Hai
Dil Jo Tu Chhoo Gaya Hai
Tere Ehsaas Ka Mukammal
Yeh Jahaan Mil Gaya

Palkein Band Kar Loon
Toh Dekhu Bas Tujhi Ko
Aankhon Ko Teri Khwaabon Ka
Aashiyaan Mil Gaya

Kho Jaaye Na, Ud Jaaye Na
Yeh Pal Ab Haseen

Aa Leja Kahin, Mere Saathiya

Saanson Pe Likha Hai
Tu Jeene Ki Wajah Hai
Chaahu Betahaasha
Toot Kar Main Toh Tujhe

Teri Rehguzar Me
Main Kab Se Hoon Safar Me
Jaa Ke Theharna Hai
Ab Toh Manzil Pe Mujhe

Tu Hai Jahan, Main Hoon Wahan
Kya Aasmaan Zameen

Aa Leja Kahin, Mere Saathiya

Arijit Singh
← Previous Song Next Song →