Lihaaz lyrics - Samyak Prasana

Singles

SongLihaaz
VocalsSamyak Prasana
CompositionAbhijeet Srivastava
LyricsShayra Apoorva
Year2026

Karke Tujhi Se Hi Teri Hi Ibaadat
Tujhe Maang Loon Main –(2)

Baanhein Teri ‘gar De Dein Ijaazat
Inhein Thaam Loon Main
Inhein Thaam Loon

Jannaton Ke Ab Se Yahi Hai Maayne
Jis Jagah Tu Rehle Mere Paas Me
Jaaniya Ve Jaaniya, Yeh Tay Raha

Milta Ab Jo Sukoon Hai
Teri Baanhon Me
Aisa Pehle Kahin Na Mila

Milta Ab Jo Sukoon Hai
Teri Chhaaon Me
Aisa Pehle Kahin Na Mila

Is Hi Lihaaz Se Ham Aapse
Yeh Kehna Chaahte
Chaahein Yun Hi Umr Bhar
Hai Saath Aapka

Is Hi Lihaaz Se Ham Aapse
Yeh Kehna Chaahte
Hoye Na Juda Kabhi
Ho Aisa Raabta

Jabse Ho Tum Hamein Haasil Hue
Aasaan Tab Se Hui Hai
Saari Raahein Meri

Ham Toh Nahi Tere Kaabil Hue
Phir Bhi Tumne Chhodi Na
Yeh Baanhein Meri

Tootne Na Doge Tum
Yeh Dil Ek Baar Bhi
Hai Yakeen Yeh Yakeen
Dil Ko Hua

Khwaabon Me Bhi Socha Na Tha
Paaya Woh Pyaar Maine
Tumne Hai Jo Tumne Hai Diya

Milta Ab Jo Sukoon Hai
Teri Baanhon Me
Aisa Pehle Kahin Na Mila

Milta Ab Jo Sukoon Hai
Teri Chhaaon Me
Aisa Pehle Kahin Na Mila

Is Hi Lihaaz Se Ham Aapse
Yeh Kehna Chaahte
Chaahein Yun Hi Umr Bhar
Hai Saath Aapka

Is Hi Lihaaz Se Ham Aapse
Yeh Kehna Chaahte
Hoye Na Juda Kabhi
Ho Aisa Raabta

Samyak Prasana
← Previous Song Next Song →