Sawaal lyrics - Abhijeet Srivastava, Siddhant Bhosle

Singles

SongSawaal
VocalsAbhijeet Srivastava, Siddhant Bhosle
CompositionAbhijeet Srivastava, Siddhant Bhosle
LyricsShayra Apoorva
Year2025

Aankhein Aajkal Kisi Se Bhi
Milaate Ham Nahi
Tere Baare Me Kisi Ko Yeh
Bata Na Dein

Phir Zamaane Ki Nazar Se Bhi
Bachaana Hai Tujhe
Yeh Jahaan Kahin Nazar Tujhe
Laga Na De

Tere Baare Me Jo Yaar Baithein
Likhne Ham Kabhi
Sau Kataarein Toh Kitaabon Ki
Laga Hi Dein

Tumko Kaise Par Bataayein Ke
Kitaabein Kitni Bhi
Teri Khoobiyan Kabhi Bhi Na
Gina Sakein

Jaaniya, Poochhna Ek Sawaal Hai Hamein
Tum Agar Haan Kaho, Khul Ke Bol Dein
Tu Meri Hai, Zamaane Ke Aage Raaz
Khol Dein Jo Tu Jaaniya Haamiyan De

Jaaniya, Poochhna Ek Sawaal Hai Hamein
Tum Agar Haan Kaho, Khul Ke Bol Dein
Tu Meri Hai, Zamaane Ke Aage Raaz
Khol Dein Jo Tu Jaaniya Haamiyan De De De

Yun Toh Yeh Teri Zulfein Ghaneri
Yun Bandhi Bandhi Bhi Hain Haseen
Zulfein Tu Haule Se Jab Bhi Khole
Mera Hosh Khona Laazmi

Karti Rehti Sifaarishein Re
Har Ghadi Farmaaishein, Jaaniya Re
Tu Hi Inki Hai Khwaahishein
Kyun Bigaade Tu Hi Mere Khwaabon Ko

Jaaniya, Poochhna Ek Sawaal Hai Hamein
Tum Agar Haan Kaho, Khul Ke Bol Dein
Tu Meri Hai, Zamaane Ke Aage Raaz
Khol Dein Jo Tu Jaaniya Haamiyan De

Jaaniya, Poochhna Ek Sawaal Hai Hamein
Tum Agar Haan Kaho, Khul Ke Bol Dein
Tu Meri Hai, Zamaane Ke Aage Raaz
Khol Dein Jo Tu Jaaniya Haamiyan De De De

Baarishon Me, Baadalon Me
Taaron Waali Chaadaron Me
Sabke Hi Muqaabalon Me
Haan, Haseen Tumhi Ho

Saari Meri Aadaton Me
Shiddaton Me, Chaahaton Me
Paayi Hai Jo Raahaton Me
Tumhi Har Kahin Ho

Baarishon Me, Baadalon Me
Taaron Waali Chaadaron Me
Sabke Hi Muqaabalon Me
Haan, Haseen Tumhi Ho

Saari Meri Aadaton Me
Shiddaton Me, Chaahaton Me
Paayi Hai Jo Raahaton Me
Tum Hi Ho

Jaaniya, Poochhna Ek Sawaal Hai Hamein
Tum Agar Haan Kaho, Khul Ke Bol Dein
Tu Meri Hai, Zamaane Ke Aage Raaz
Khol Dein Jo Tu Jaaniya Haamiyan De

Jaaniya, Poochhna Ek Sawaal Hai Hamein
Tum Agar Haan Kaho, Khul Ke Bol Dein
Tu Meri Hai, Zamaane Ke Aage Raaz
Khol Dein Jo Tu Jaaniya Haamiyan De De De

Abhijeet Srivastava Siddhant Bhosle
← Previous Song Next Song →