Mushkil Hai lyrics - Vishal Mishra, Hansika Pareek

Vicky Vidya Ka Woh Wala Video (2024)

SongMushkil Hai
VocalsVishal Mishra, Hansika Pareek
CompositionSachin–Jigar
LyricsSom
MovieVicky Vidya Ka Woh Wala Video (2024)

Tu Kya Cheez Hai, Yeh Lafzon Me
Bataana Mushkil Hai
Teri Soorat Dekh Ke
Nazrein Hataana Mushkil Hai

O Teri Khushboo Hawa Me

Teri Khushboo Hawa Me
Teri Fikr Subah Me
Tere Zikr Se Shaamein
Mehfil Hain

Ho, Tera Naam Likha Ke Dil Pe
Mitaana Mushkil Hai
Tu Kya Cheez Hai, Yeh Lafzon Me
Bataana Mushkil Hai

Ho, Maine Tere Rang, Tere Rang
Tere Rang, Tere Rang
Rang Li Chunar, Soneya

Bas Tere Sang, Tere Sang
Tere Sang, Tere Sang
Katni Umar, Soneya

Nazron Ke Raste Dil Me Kisi Ke
Aa Kar Apna Shehar Basaana
Seekhna Ho Toh Tujhse Seekhe
Koi Mohabbat Farmaana

O Tera Jab Se Hua Main

Tera Jab Se Hua Main
Karu Shukr Ada Main
Har Safar Ki Tu Hi
Manzil Hai

Tera Rang Chadha Hai Aisa
Chhudaana Mushkil Hai
Tu Kya Cheez Hai, Yeh Lafzon Me
Bataana Mushkil Hai

Ho, Maine Tere Rang, Tere Rang
Tere Rang, Tere Rang
Rang Li Chunar, Soneya

Bas Tere Sang, Tere Sang
Tere Sang, Tere Sang
Katni Umar, Soneya

Tere Alaawa Aur Kisi Se
Dil Lag Paana Mushkil Hai
Khud Ko Bhale Main Bhool Bhi Jaaun
Tujhko Bhulaana Mushkil Hai

Aise Mujhe Tu Padh Leta Hai
Jaise Kitaab Hoon Main Koi
Khud Se Chhupa Loon Haal-e-dil Par
Tujhse Chhupaana Mushkil Hai

Tu Kya Cheez Hai, Yeh Lafzon Me
Bataana Mushkil Hai
Teri Soorat Dekh Ke
Nazrein Hataana Mushkil Hai

Vishal Mishra Hansika Pareek
← Previous Song Next Song →