Nadaaniyan (Title Song) lyrics

Nadaaniyan (2025)

SongNadaaniyan (Title Song)
Singer(s)Jonita Gandhi, Varun Jain
MusicSachin–Jigar
LyricsAmitabh Bhattacharya
MovieNadaaniyan (2025)

Mehsoos Dil Kare Jisey
Zubaan Se Keh Sake Usey
Yeh Har Dafa Zaroori Toh Nahi

Ik Cheez Me Maza Bhi Ho
Maze Ki Phir Wajah Bhi Ho
Yeh Har Dafa Zaroori Toh Nahi

Zaroori Toh Nahi

Kuchh Toh Gustaakhiyan
Kuchh Toh Manmaaniyan
Kabhi Dil Se Ho Jaane De
Nadaaniyan

Dil Ke Jazbaat Hain
Itni Si Baat Hai
Hoti Hai, Ho Jaane De
Nadaaniyan

Dil Ki Udaane Chale Jo Aazmaane
Taare Aasmaan Ke
Phoonk Ke Bujhaane

Rishta Zameen Se Hamein
Nibhaana Aa Gaya

Yaari – Dosti Me
Mohabbatein Milaane
Lage Jo Kisi Pe Zindagi Lutaane

Pyaar Khud Se Bhi Zara
Jataana Aa Gaya

Sapno Ke Par Daboch Ke
Jo Bhi Karein, Woh Soch Ke
Yeh Har Dafa Zaroori Toh Nahi

Zaroori Toh Nahi

Kuchh Toh Gustaakhiyan
Kuchh Toh Manmaaniyan
Kabhi Dil Se Ho Jaane De
Nadaaniyan

Dil Ke Jazbaat Hain
Itni Si Baat Hai
Hoti Hai, Ho Jaane De
Nadaaniyan

Jonita Gandhi Varun Jain
← Previous Song Next Song →