Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke lyrics – Refugee
Song | Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke |
Singer(s) | Sonu Nigam, Alka Yagnik |
Music | Anu Malik |
Lyrics | Javed Akhtar |
Movie | Refugee (2000) |
Uparwale Ne Apni Mohabbat Ke Sadke Me
Hum Sab Ke Liye Ye Dharti Banayi Thi
Par Mohabbat Ke Dushmano Ne
Isspar Lakeeren Kheech Ke Sarhadein Bana Di
Main Jaanta Hun
Wo Log Tumhe Iss Paar Nahi Aane Denge
Magar Ye Pawan
Jo Tumhare Yahan Se Hokar Aayi Hai
Tumhe Chhookar Aayi Hogi
Main Isse Saans Banaakar
Apne Seene Me Bhar Lunga
Ye Nadiyan Jispar Jhuk Kar
Tum Paani Piya Karte Ho
Main Iske Paani Se
Apne Pyaase Honthon Ko Bhigo Lungi
Samjhungi Tumhare Honthon Ko Chhoo Liya
Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insaano Ke Liye Hai
Socho Tumne Aur Maine
Kya Paaya Insaan Hoke?
Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insaano Ke Liye Hai
Socho Tumne Aur Maine
Kya Paaya Insaan Hoke?
Jo Hum Dono Panchhi Hote
Tairte Hum Iss Neel Gagan Me
Pankh Pasaare
Saari Dharti Apni Hoti
Apne Hote Saare Nazaare
Khuli Fizaaon Me Udte –(2)
Apne Dilon Me Hum Saara
Pyaar Samaake
Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insaano Ke Liye Hai
Socho Tumne Aur Maine
Kya Paaya Insaan Hoke?
Jo Main Hoti Nadiyan Aur Tum
Pawan Ke Jhonke
To Kya Hota?
Oo.. Jo Main Hoti Nadiyan Aur Tum
Pawan Ke Jhonke
To Kya Hota?
Pawan Ke Jhonke Nadi Ke Tan Ko Jab Chhute Hain –(2)
Leharein Hi Leharein Banti Hain
Hum Dono Jo Milte To Kuch Aisa Hota
Sab Kehte Ye Lehar Lehar
Jahan Bhi Jaayein
Inko Na Koi Toke
Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insaano Ke Liye Hai
Socho Tumne Aur Maine
Kya Paaya Insaan Hoke?
Panchhi Nadiyan Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke