Shaam Se lyrics - Hansika Pareek
Ehsaas (2025) EP
| Song | Shaam Se |
| Singer | Hansika Pareek |
| Composer | Hansika Pareek |
| Lyrics | JUNO |
| EP | Ehsaas (2025) |
Kal Shaam Se Hi Sirhaane
Kuchh Khat Rakhe The Puraane
Phir Raat Bhar Ka Rijhaana
Ulfat Lagi Hai Sataane
Ooni Se Libaason Me Simte Rahein
Aawaazein Khayaalon Ki Sunte Rahein
Shaam Se..
Dil Ko Behla Rahe Hain Tere Naam Se
Shaam Se.. Aankhein Mehroom
Dastakon Ke Inaam Se
Tere Bina, Tere Siwa Jiyein Agar
Sookh Jaaye Na Mann Ka Yeh Shajar
Aankhon Me Tu, Baaton Me Bhi Tera Zikar
Kaise Jeete Hain, Tu Hi Farz Kar
Chuppi Me Zubaano Ko Chunte Rahein
Hum Fajar Ki Azaano Ko Sunte Rahein
Shaam Se..
Dil Ko Behla Rahe Hain Tere Naam Se
Shaam Se.. Aankhein Mehroom
Dastakon Ke Inaam Se
Shaam Se..