Tere Bin lyrics - Shriya Jain
Singles
| Song | Tere Bin |
| Singer(s) | Shriya Jain, Rishi Kumar |
| Composer | Rishi Kumar |
| Writer | Anurag Mishra |
| Year | 2024 |
Jagi Jagi Si
Tere Bin Saari Hain Raatein
Kehne Ko Kitni Hain Baatein
Jo Keh Na Paayi Main
Dabi Dabi Si
Tere Bin Saari Barsaatein
Baaki Rahi Mulaqaatein
Jo Kar Na Paayi
Kaash Kuchh Aisa Ho
Main Teri, Tu Mera Ho
Na Ho Alag Hum Dono Ki Zindagi
Tere Bin Dil Mera, Tere Bin Aadha Sa
Tere Bin Dil Jaisa Na Raha
Jagi Jagi Si
Tere Bin Saari Woh Raatein
Kehne Ko Kitni Thi Baatein
Jo Keh Na Paayi Main
Dabi Dabi Si
Tere Bin Saari Barsaatein
Baaki Rahi Mulaqaatein
Jo Kar Na Paayi Main
Tere Bin Nahi Khud Pe Hai Yakeen
Jeene Ke Liye Tu Zaroori
Tere Bin Meri Khaali Zindagi
Tere Aane Pe Ho Yeh Poori
Rahi Rahi Si Tere Bin Zindagi Saari
Tere Bin Baaziyaan Haari
Sab Khoya Hai Maine
Bujhi Bujhi Si
Tere Bin Jeene Ki Chaahat
Tere Bin Aaye Na Raahat
Sab Haara Hai Maine
Jagi Jagi Si
Tere Bin Saari Woh Raatein
Kehne Ko Kitni Thi Baatein
Jo Keh Na Paayi Main
Dabi Dabi Si
Tere Bin Saari Barsaatein
Baaki Rahi Mulaqaatein
Jo Kar Na Paayi