Yahin Guzaar Doon lyrics - Amaal Mallik, Shreya Ghoshal
Singles
| Song | Yahin Guzaar Doon |
| Vocals | Amaal Mallik, Shreya Ghoshal |
| Composition | Amaal Mallik |
| Lyrics | Kunaal Vermaa |
| Year | 2026 |
Is Duniya Ke Andheron Me
Jab Tu Mere Kareeb Aaya
Kuchh Bhi Na Tha In Lakeeron Me
Tab Tu Le Ke Naseeb Aaya
Kiya Hai Kitna Tune Mere Liye, Main
Kahe Jo Tu Toh Hans Ke Mar Jaaun
Jo Haath Yeh Rahe Tere Haath Me
Main Saari Zindagi Yahin Guzaar Doon
Chale Bhi Jaaoge Toh Intezaar Me
Woh Shaam Aakhiri Yahin Guzaar Doon
Is Duniya Ke Andheron Me
Jab Tu Mere Kareeb Aaya
Kuchh Bhi Na Tha In Lakeeron Me
Tab Tu Le Ke Naseeb Aaya
Mujhe Yaad Hai Woh Din Aaj Bhi
Main Chal Ke Tere Paas Aaya Tha
Nahi Tha Koi Jahaan Me Mera
Tune Hi Gale Lagaaya Tha
Mila Jo Tu Toh Har Khushi Mil Gayi Hai
Ab Issey Zyada Aur Kya Maangu
Jo Haath Yeh Rahe Tere Haath Me
Main Saari Zindagi Yahin Guzaar Doon
Chale Bhi Jaaoge Toh Intezaar Me
Woh Shaam Aakhiri Yahin Guzaar Doon
Koi Aisa Pal Jiya Hi Nahi
Jisme Tera Naam Na Liya
Tere Ho Gaye Toh Hamne, Sanam
Sab Se Faasla Bana Liya
Haan, Tera Mera Safar
Kabhi Na Khatam Ho
Bhale Hi Saanson Se Bichhad Jaaun
Jo Haath Yeh Rahe Tere Haath Me
Main Saari Zindagi Yahin Guzaar Doon
Chale Bhi Jaaoge Toh Intezaar Me
Woh Shaam Aakhiri Yahin Guzaar Doon