Chhup Gaye Saare Nazaare lyrics
Song | Chup Gaye Sare Nazare |
Singer(s) | Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar |
Music | Laxmikant-Pyarelal |
Lyrics | Anand Bakshi |
Movie | Do Raaste (1969) |
[Chhup Gaye Saare Nazaare
Oye, Kya Baat Ho Gayi] –(2)
[Tune Kaajal Lagaaya
Din Me Raat Ho Gayi] –(2)
[Mil Gaye Naina Se Naina
Oye, Kya Baat Ho Gayi] –(2)
[Dil Ne Dil Ko Pukaara
Mulaqaat Ho Gayi] –(2)
[Kal Nahi Aana, Mujhe Na Bulaana
Ke Maarega Taana Zamaana] –(2)
Tere Honthon Pe Raat Yeh Bahaana Tha
Gori, Tujhko Toh Aaj Nahi Aana Tha
[Tu Chali Aayi Duhaayi
Oye, Kya Baat Ho Gayi] –(2)
[Maine Chhoda Zamaana
Tere Saath Ho Gayi] –(2)
Tune Kaajal Lagaaya, Din Me Raat Ho Gayi
[Ambua Ki Daali Pe Gaaye Matwaali
Koyaliya Kaali Niraali] –(2)
Saawan Aane Ka Kuchh Matlab Hoga
Baadal Chhaane Ka Koi Sabab Hoga
[Rimjhim Chhaaye Ghatayein
Oye, Kya Baat Ho Gayi] –(2)
Teri Chunri Lehraayi, Barsaat Ho Gayi –(2)
Dil Ne Dil Ko Pukaara, Mulaqaat Ho Gayi
[Chhod Naa Baiyan, Padu Tere Paiyan
Taru Ki Chhaiyan Me Saiyan] –(2)
Ek Woh Din Tha
Milaati Na Thi Tu Ankhiyan
Ek Yeh Din Hai
Tu Jaage Saari Saari Ratiyan
[Ban Gayi Gori Chakori
Oye, Kya Baat Ho Gayi] –(2)
[Jiska Darr Tha, Bedardi
Wahi Baat Ho Gayi] –(2)
Chhup Gaye Saare Nazaare
Oye, Kya Baat Ho Gayi
[Dil Ne Dil Ko Pukaara
Mulaqaat Ho Gayi] –(2)