Do Din Ke Baad lyrics - Mismatched
Mismatched (Series)
| Song | Do Din Ke Baad |
| Vocals | Taaruk Raina |
| Composition | Taaruk Raina |
| Lyrics | Taaruk Raina |
| Series | Mismatched: Season 3 (2024) |
Kuchh Toh Kaho, Kuchh Toh Suno
Tedhe Medhe Raste, Kahin Toh Milo
Darr Lagta Hai Hamein
Zid Ki Yeh Baaton Se
Ab Na Rukenge, Ab Na Milenge
Na Sunenge, Ab Na Rukenge, Ab Na Jhukenge
Par Do Din Ke Baad, Ham Darte Hain
Do Din Ke Baad, Ham Marte Hain
Do Din Ke Baad, Khud Se Baatein Karte Hain
Do Din Ke Baad, Tumse Pyaar Karte Hain
Do Din Ke Baad..
Kab Tak Yeh Khel Kheloge
Tum Na Yeh Dard Samjhoge
Kitni Hai Keemat Guroor Ki
Jo Na Kar Paaye Kabhi Ham Poori
Ab Ham Kahenge, Tum Sunoge
Lagta Hai Hamko, Tum Na Rahoge
Hamaare Saath, Ham Darte Hain
Tum Na Ho Paas, Ham Marte Hain
Aati Hai Yaad, Khud Se Baatein Karte Hain
Tumse Pyaar Karte Hain
Do Din Ke Baad..
[Aa Bhi Ja, Meri Do Baatein Sun Zara
Mujhse Kabhi Na Ho Khafa
Mujhse Kabhi Na Ho Khafa] –(2)
Do Din Ke Baad, Ham Darte Hain
Do Din Ke Baad..
Do Din Ke Baad, Ham Darte Hain
Tumse Pyaar Karte Hain