Yeh Sheher lyrics - May Rain
Singles
| Song | Yeh Sheher |
| Singer(s) | May Rain |
| Composer(s) | May Rain |
| Lyrics | May Rain |
| Year | 2026 |
Yeh Shehar Hai Bheed Se Bhara
Aur Tanha Sa Bhi Hai
Yeh Shehar Hai Kashmakash Me Jhuka
Sukoon Me Lipta Sa Bhi Hai
Daudta Yeh Darbadar Har Kadam Raftaar Se
Par Kuchh Dheema Sa Bhi Hai
Dhoodhti Hoon Har Kadam
Main Pyaar Ke Kissey, Kuchh Milta Hi Nahi
Thoda Sa Ajnabee, Thoda Sa Apna Bhi
Thoda Ajnabee, Thoda Sa Apna Bhi
Hai Yeh Shehar, Yeh Sheher..
Isi Shehar Me Sadak Kinaare
Ek Kiraaye Ka Ghar Hai Mera
Jiske Dar Par Bas
Soonapan Hi Maine Dekha
Meri Chhoti Si Khidki Se
Jhaanku Main Baahar
Dikhte Hain Log Hazaaron Par
Koi Nahi Hai Apna
Chun Chun Ke Jeeti Hoon Lamhe Khushi Ke
Aankhon Se Mere Jo Ashq Bahe Hain
Koi Nahi Samajhta
Thoda Sa Apna Hi, Par Kaafi Ajnabee
Hai Thoda Sa Apna Hi, Par Kaafi Ajnabee
Thoda Ajnabee, Thoda Sa Apna Bhi
Thoda Ajnabee, Thoda Sa Apna Hi
Hai Yeh Shehar, Yeh Sheher..